Yashasvi जसवाल ने रचा इतिहास
Yashasvi pehle 10 Test matches ke baad sabse zyada run banane wale Bharatiya ballebaaz ban gaye hain. Yashasvi ne Sunil Gavaskar ka 51 saal purana record tod diya. Gavaskar ne apne shuruaati das Test matches mein 978 run banaye the. Wahi Yashasvi Jaiswal ne pehle 10 Test matches ke baad 1094 run banaye hain.
India vs Bangladesh 1st Test: Bharat aur Bangladesh ke beech pehla Test muqabla Chennai ke maidan par khela ja raha hai. Is Test match mein Team India ne pehli pari mein 376 run banaye. Iske baad Bharatiya gendbaazon ke aage Bangladesh ke ballebaaz pehli pari mein tik nahi paaye aur sirf 149 run par out ho gaye. Pehli pari ke aadhar par Team India ko 227 run ki badhat mili. Team India ne ab doosri pari mein 3 wickets ke nuksaan par 81 run bana liye hain.
Pehle 10 Test matches mein sabse zyada run banane wale Bharatiya bane Jaiswal:
Yashasvi Jaiswal ne Bangladesh ke khilaf pehle Test match mein 56 aur 10 run ki pariyaan kheli aur match mein kul 66 run banaye. Iske saath hi woh career ke shuruaati 10 Test matches mein sabse zyada run banane wale Bharatiya ban gaye hain. 22 saal ki umr mein hi Yashasvi ne Sunil Gavaskar ka 51 saal purana record dhwast kar diya hai. Isse pehle Bharat ke liye career ke pehle 10 Test matches mein sabse zyada run banane ka record Gavaskar ke naam tha. Unhone pehle 10 Test matches mein 978 run 1973 mein banaye the, jabki Jaiswal ne career ke pehle 10 Test matches mein ab tak 1094 run banaye hain aur Gavaskar se aage nikal gaye hain.