vodafone idea ने तीन कंपनियों के साथ पूरी की करोड़ों डील
Vodafone Idea ne apne bayan mein kaha, “Vodafone Idea ne Nokia, Ericsson, aur Samsung ke sath 3 saal ke liye network equipment ki supply ke liye lagbhag 3.6 billion dollars (lagbhag 30,000 crore rupaye) ki deal puri kar li hai.”
Vodafone Idea ne apne karch aur cash crisis ke dauran ek bada kadam uthate hue Nokia, Ericsson, aur Samsung ke sath 3.6 billion dollars (lagbhag 30,000 crore rupaye) ki badi deal ki hai. Is deal ke tahat agle teen saal tak ye companies Vodafone Idea ko network equipment supply karengi, jisse VI apne 4G aur 5G network ko tezi se expand karegi.
Yeh deal Vodafone Idea ke ₹550 billion (6.6 billion dollars) ke capex plan ka pehla hissa hai. Company ka lakshya hai apna 4G network 103 crore logon se badhakar 120 crore logon tak pahunchana. CEO Akshaya Moondra ne kaha hai ki yeh modern equipment unke network ko aur majboot banayenge aur customers ko behtareen experience denge