Virat Kohli ने सचिन तेंदुलकर का रिकॉर्ड तोडा
Kohli ne Bharat ke mahan batsman Sachin Tendulkar ka record todkar sabse tez 27,000 run banane wale batsman ban gaye hain. Unhone is mukaam tak pahunchne ke liye 594 pariyaan li, jabki Tendulkar ne 2007 mein 623 pariyon mein yeh mukaam haasil kiya tha.
Nayi Dilli. Bhartiya cricket team ke star batsman Virat Kohli ne mahan Sachin Tendulkar ka ek aur record tod diya hai. Bangladesh ke khilaf khele ja rahe do matches ki Test series ke aakhri muqable mein King Kohli ne sabse tez 27 hazar international run poore kiye. Kanpur Test ki pehli pari mein 47 runs ki pari khelkar out hone se pehle yeh kirtimaan sthapit kiya.
Puroo Bhartiya captain Virat Kohli international cricket career mein 27,000 runs banane wale chauthe batsman ban gaye hain. Iske sath hi Kohli Sachin Tendulkar, Ricky Ponting aur Kumar Sangakkara ke baad is mukaam tak pahunchne wale chauthe batsman ban gaye hain. Kohli ne Bharat ke mahan batsman Sachin Tendulkar ka record todkar sabse tez 27,000 run banane wale batsman ban gaye hain.
Unhone is mukaam tak pahunchne ke liye 594 pariyan li, jabki Tendulkar ne 2007 mein 623 pariyon mein yeh mukaam haasil kiya tha. Sri Lanka ke Sangakkara ne 2015 mein apni 648vi pari mein yeh mukaam haasil kiya tha, jabki Ponting ne Australia ke liye 650vi pari mein yeh mukaam haasil kiya tha.