Delhi की हवा बेहद खराब GRAP 2 लागू
Delhi-NCR mein vaayu pradushan badhne ke baad Graded Response Action Plan (GRAP-2) ka doosra charan lagu kiya gaya hai. Vaayu Gunwatta Prabandhan Aayog (CAQM) ne pradushan par lagaam lagane ke liye GRAP-2 ke tahat Mangalvaar subah aath baje se kai pabandiyan lagane ka nirdesh diya hai. Ab Delhi-NCR mein diesel generator chalane par rok lagu ho gayi hai. Somvaar ko Delhi ka ausat AQI 310 darj kiya gaya.
GRAP-2 ke tahat, ab kai naye niyam lagu kiye gaye hain jo vaayu pradushan ko kam karne mein madadgar honge. Diesel generators ke ilawa, nirman aur tod-phod wale kaamon par bhi kuch had tak rok lagai ja rahi hai, jisse dhool aur mitti hawa mein na uthe. Iske alawa, sarkari agencies ko sadkon par paani chhidakne ka nirdesh diya gaya hai, taaki dhool ka asar kam ho sake.
Delhi-NCR ki hawa me pradushan ka star bahut zyada badh gaya hai, aur GRAP ke alag-alag stages ko is baat ko dhyan mein rakhkar banaya gaya hai ki kab kaunsa kadam uthane ki zarurat hai. Jab AQI “bahut kharab” ya “severe” shreni mein pahuchta hai, to GRAP-2 jaise kadam uthaaye jaate hain taaki logon ki sehat par asar na ho.